Surah Baqarah Last 2 Ayat

 Bismillahirrahmanirraheem

Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat

Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)

Sahih Bukhari, Vol 6, 5009
Surah Baqarah Last 2 Ayat




آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ  كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ


لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ

------


✦ Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi

sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai.

✦ ALLAH Subhanahu kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga

✦ Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma ,

✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala ,

✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi,

✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar.

✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma

Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.